samne us ke kabhi us ki sataish nahin ki dil ne chaha bhi agar honton ne jumbish nahin ki ahl-e-mahfil pe kab ahwal khula hai apna main bhi khamosh raha us ne bhi pursish nahin ki jis qadar us se talluq tha chala jata hai us ka kya ranj ho jis ki kabhi khwahish nahin ki ye bhi kya kam hai ki donon ka bharam qaem hai us ne bakhshish nahin ki hum ne guzarish nahin ki ek to hum ko adab aadab ne pyasa rakkha us pe mahfil mein surahi ne bhi gardish nahin ki hum ki dukh odh ke khalwat mein pade rahte hain hum ne bazar mein zakhmon ki numaish nahin ki ai mere abr-e-karam dekh ye virana-e-jaan kya kisi dasht pe tu ne kabhi barish nahin ki kat mare apne qabile ki hifazat ke liye maqtal-e-shahr mein thahre rahe jumbish nahin ki wo hamein bhul gaya ho to ajab kya hai 'faraaz' hum ne bhi mel-mulaqat ki koshish nahin ki