gham-e-hasti na kuchh fikr-e-dil-o-jaan hai jahan main hun ki har har gam par koi nigahban hai jahan main hun har ek nazzara sau pardon mein pinhan hai jahan main hun khuda jaane kahan kal bazm-e-imkan hai jahan main hun har ek jazba tayyun se gurezan hai jahan main hun gham-e-dil be-niyaz-e-kufr-o-iman hai jahan main hun kamal-e-be-khudi manzil-ba-manzil kaam karta hai junun-e-justuju sar-dar-gareban hai jahan main hun hawa mein ek musalsal irtiash-e-shauq hai pinhan faza mein paiham ek bijli si raqsan hai jahan main hun gham-e-hasil muqayyad kar raha hai sai-e-hasil ko mazaq-e-arzu diwar-e-zindan hai jahan main hun mujhe har yaum ishrat partaw-e-ru-e-nigarin hai shab-e-gham saya-e-zulf-e-pareshan hai jahan main hun kahan ke aish-o-gham kaisi muraden kaise andeshe ki sari zindagi khwab-e-pareshan hai jahan main hun junun insan ke andaz-e-farzana ko kahte hain khirad ka nam ehsas-e-pasheman hai jahan main hun jo har manzil mein rahbar tha wo ab bhi sath hai warna yahan har gam par laghzish ka imkan hai jahan main hun kisi se 'kaif' main raaz-e-haqiqat kis tarah puchhun har ek surat har ek nazzara hairan hai jahan main hun