farq jo kuchh hai wo mutrib mein hai aur saz mein hai warna naghma wahi har parda-e-awaz mein hai tarjuman-e-gham-e-dil kaun hai ashkon ke siwa ek yahi tar-e-shikasta to mere saz mein hai murgh-e-azad asiron ko hiqarat se na dekh in ki taqat bhi tere bazu-e-parwaz mein hai ek le de ke tamanna hai so wo bhi nakaam dil mein kya hai jo teri jalwa-gah-e-naz mein hai dil ko diwana samajh kar na bahut chhedo tum kahin kuchh kah na uthe ye haram-e-raaz mein hai