falak ki gardishen aisi nahin jin mein qadam thahre sakun dushwar hai kyunkar tabiat koi dam thahre qaza ne doston se dekhiye aakhir kiya nadim kiye the ahd-o-paiman jis qadar wo kul adam thahre chhua tu ne jise mara use ai afai-e-gesu ye sab tiryaq mere tajraba karne mein sam thahre kiya jab ghaur koson dur nikli manzil-e-maqsad kabhi gar pa-e-shal utthe to chal kar do qadam thahre laga kar dil juda hona na thi shart-e-wafa sahab gham-e-furqat ki shiddat se karam jaur-o-sitam thahre jo kuchh dekha wo aaina tha aane wali haalat ka jahan dekha yahi aaankhon ke kanse jam-e-jam thahre amal kahne pe apne hazrat-e-waiz karen pahle gunah ke mo'tarif jab hain to wo kab mohtaram thahre jawani ki siyah-masti mein wasf-e-zulf likkha tha badha wo silsila aisa ki hum mushkin qalam thahre ye sabit hai ki mutlaq ka tayyun ho nahin sakta wo salik hi nahin jo chal ke ta-dair-o-haram thahre bashar ko qaid-e-kulfat maya-e-andoh-o-afat hai rahe achchhe jo is mehman-sara mein aa ke kam thahre 'habib'-e-na-tawan se rah-e-ulfat tai nahin hoti ajab kya gar ye rasta jada-e-mulk-e-adam thahre