faujiyon ke sar to dushman ke sipahi le gae hath jo qimat lagi zill-e-ilahi le gae jurm mera sirf itna tha ki main mujrim na tha qaid tak mujh ko subut-e-be-gunahi le gae ab wahi duniya mein thahre amn-e-alam ke amin jo aman ki ja tak asbab-e-tabahi le gae shikwa-e-jalwa-numai sirf un ke lab pe hai jo teri mahfil mein apni kam-nigahi le gae tum haram se le gae shab ki siyahi aur hum mai-kade se bhi ziya-e-subh-gahi le gae main idhar 'akhlaq' ki taqsim mein masruf tha log udhar meri ada-e-kaj-kulahi le gae