tang-dasti mein karo logo guzara dekh kar apni ninden mat udao khwab mahnga dekh kar nam se mere nagar mein ek mohalla dekh kar mera dushman mar na jae mujh ko zinda dekh kar yaad aae us ghadi apne gharon ke raste be-tahasha thak gae jab log mela dekh kar kya khabar thi apne hi hathon se mara jaega kal bata deta tha jo hathon ki rekha dekh kar raste mein na-muradon ne andhera kar diya ek badan ke sath kuchh sayon ko chalta dekh kar yun to munsif par mujhe pura bharosa hai magar achchhe achchhe dagmaga jate hain paisa dekh kar