faqat is ek uljhan mein wo pyasa dur tak aaya chamakti ret pichhe thi ki dariya dur tak aaya mere khashak mein padne ko be-kal tha sharar koi mera daman pakadne ek shoala dur tak aaya zara aage gaya to phul bhi the narm sae bhi nazar to dhup ka ek zard khitta dur tak aaya kiya ghaarat mohabbat ki faqat ek tez barish ne utar kar dil se sab rang-e-tamanna dur tak aaya khata kis ki hai tum hi waqt se bahar rahe 'shahin' tumhein aawaz dene ek lamha dur tak aaya