ye jamal kya ye jalal kya ye uruj kya ye zawal kya wo jo ped jad se ukhad gaya use mausamon ka malal kya wo jo lamha lamha bikhar gaya wo jo apni had se guzar gaya use fikr-e-sham-o-sahar ho kya use ranjish-e-mah-o-sal kya wo jo be-niyaz sa ho gaya wo jo ek raaz sa ho gaya jise kuchh gharaz hi nahin rahi use dast-e-harf-e-sawal kya hua reza reza jo dil tera use jod jod ke mat dikha wo jo apne husn mein mast hai use aaine ka khayal kya wahi hijr raat ki baat hai wahi chand-taron ka sath hai jo firaq se hua aashna use aarzu-e-visal kya kisi aur se karen kyun gila hamein apne-ap se dukh mila wo jo dard-e-dil se ho aashna use duniya-bhar ka wabaal kya wahi gard gard ghubar hai wahi chaaron or fishaar hai wo jo khud ko bhi nahin jaanta wo ho mera waqif-e-haal kya use 'sad' kaisa bataen hum use kis se ja ke milaen hum wo to khud sarapa misal hai ye gulab kya ye ghazal kya