hum hain mata-e-kucha-o-bazar ki tarah uthti hai har nigah kharidar ki tarah is ku-e-tishnagi mein bahut hai ki ek jam hath aa gaya hai daulat-e-bedar ki tarah wo to kahin hai aur magar dil ke aas-pas phirti hai koi shai nigah-e-yar ki tarah sidhi hai rah-e-shauq pe yunhi kahin kahin kham ho gai hai gesu-e-dildar ki tarah be-tesha-e-nazar na chalo rah-e-raftagan har naqsh-e-pa buland hai diwar ki tarah ab ja ke kuchh khula hunar-e-nakhun-e-junun zakhm-e-jigar hue lab-o-rukhsar ki tarah 'majruh' likh rahe hain wo ahl-e-wafa ka nam hum bhi khade hue hain gunahgar ki tarah