gar bade mard ho to ghair ko yan ja dije us ko kah dekhiye kuchh ya mujhe uthwa dije kaun aisa hai jo chhede hai tumhein rah ke bich main samajh lunga tuk us ko mujhe batla dije dil o jaan o khirad o din pahle hi din de baithe aaj hairan hun ki aata hai use kya dije kya hua haal bhala dekh to mujh be-dil ka na kabhi dilbari kije na dilasa dije dawa-e-rustami karte to hain par ek dam mein chhin lun tegh-o-sipar un ki jo farma dije gum hua hai abhi yan gauhar-e-dil ai khuban hath lag jawe tumhaare to mujhe pa dije bewafa dushman-e-mehr aafat-e-jaan sangin-dil haif 'bedar' ki aise ko dil apna dije