faqat zamin se rishte ko ustuwar kiya phir us ke baad safar sab sitara-war kiya bas itni der mein aadad ho gae tabdil ki jitni der mein hum ne unhen shumar kiya kabhi kabhi lagi aisi zamin ki haalat ki jaise us ko zamane ne sangsar kiya jahan-e-kohna azal se tha yun to gard-alud kuchh hum ne khak uda kar yahan ghubar kiya bashar bigadega mahaul wo jo us ke liye na jaane kitne zamanon ne sazgar kiya tamam wahm o guman hai to hum bhi dhoka hain isi khayal se duniya ko main ne pyar kiya na sans le saka gahraiyon mein jab wo 'malal' to us ko apne jazire se ham-kanar kiya