lai bahaar shauq ke saman nae nae duniya nai nai si dil o jaan nae nae saqi ki ek nigah ne bakhshi hayat-e-nau dil mein machal gae mere arman nae nae har aan tarz-e-nau se satae hai aasman mere liye sitam ke hain unwan nae nae barbaadiyon ka apne nasheman ki gham nahin tamir ho rahe hain gulistan nae nae fasl-e-bahaar aai mubarak ho ai junun daman nae nae hain gareban nae nae us chashm-e-nim-baz ki wo kam-nigahiyan dil mein utar gae mere paikan nae nae masjid mein bhi fasana buton ka janab-e-shaikh shayad hue hain aap musalman nae nae 'mumtaz' ek charagh-e-sar-e-rahguzar sahi honge charagh us se farozan nae nae