faqr ke hain mojazat taj o sarir o sipah faqr hai miron ka mir faqr hai shahon ka shah ilm ka maqsud hai paki-e-aql o khirad faqr ka maqsud hai iffat-e-qalb-o-nigah ilm faqih o hakim faqr masih o kalim ilm hai juya-e-rah faqr hai dana-e-rah faqr maqam-e-nazar ilm maqam-e-khabar faqr masti sawab ilm mein masti gunah ilm ka maujud aur faqr ka maujud aur ashhado an la ilah ashhado an la ilah chadhti hai jab faqr ki san pe tegh-e-khudi ek sipahi ki zarb karti hai kar-e-sipah dil agar is khak mein zinda o bedar ho teri nigah tod de aaina-e-mehr-o-mah