farakh-dast ka ye husn-e-tang-dasti hai jo ek bund ki manind bahr-e-hasti hai wo jis ko napiye to thaharti nahin hai kahin isi zamin pe kul kaenat basti hai ghata to jhum ke aati hai aae din lekin jahan barasna ho kam kam wahan barasti hai zamin karti hai mujh ko ishaara-e-parwaz meri tamam bulandi rahin-e-pasti hai ab aur der na kar hashr barpa karne mein meri nazar tere didar ko tarasti hai jo gird-o-pesh se main be-niyaz hun 'rahi' isi mein hosh hai mera isi mein masti hai