fareb-e-husn nazar ka dikhai deta hai hamein har ek jo achchha dikhai deta hai shuur-e-gham ke dariche to wa karo yaro fasil-e-shab pe ujala dikhai deta hai yahan sab apni saliben uthae phirte hain har ek shakhs masiha dikhai deta hai hamare dard ko padh lo khuli kitab hain hum har ek chehra ye kahta dikhai deta hai 'shamim' aaiye fikr-e-sukhan-shiar karen yahi farar ka rasta dikhai deta hai