fareb-e-khubi-e-nairang dekhne ke liye nikal pada hun tere sang dekhne ke liye tassubaat ke chehre pe ab hai khush-haali lahu ke rang ko be-rang dekhne ke liye zara shuur ki aankhen to kholiye sahab kamal-e-zabt ka aahang dekhne ke liye nigar-khana-e-fan ke jamal ki saugandh main aa gaya hun tere dhang dekhne ke liye talluqat ka loha to gal chuka hoga palat ke aae ho ab zang dekhne ke liye