sitam hai dil ke dhadakne ko bhi qarar kahen tumhaare jabr ko apna hi ikhtiyar kahen sukun wahi hai jise chaara-gar sukun kah den kahan ye izn ki kuchh tere be-qarar kahen chhupaen dagh-e-jigar phul jitna mumkin ho kahin na ahl-e-nazar un ko dil-figar kahen faza hai un ki chaman un ke aashiyan un ke khizan ke zakhm ko jo ghuncha-e-bahaar kahen piye hain ashk hazaron to lab pe aai hai wo ek hansi ki jise farz-e-nagawar kahen andheri shab mein jalenge charagh ban ban ke wo naqsh-e-pa ki jinhen rah ka ghubar kahen samajh sakega wahan kaun raaz-e-mai-khana 'nasim' tishna-labi ko jahan khumar kahen