gham mein har lab pe wahi aah-o-buka aati hai mukhtalif saz hain aur ek sada aati hai ho ke zindan se jo gulshan ki hawa aati hai aur diwanon ko diwana bana aati hai past hoti hai jahan ahl-e-dila ki himmat us jagah kaam gharibon ki dua aati hai mujh se har haal mein achchha hai tasawwur mera kam se kam aap ki taswir bana aati hai jab jafaon se pada kaam to sab bhul gae naz tha hum ko ki hum ko bhi wafa aati hai dil hai ya saz-e-shikasta hai na jaane kya hai ek se ek khush-aind sada aati hai fursat itni nahin milti ki kabhi ghaur karen warna har dard ki khud hum ko dawa aati hai jam-e-sarshaar idhar hai main hun tauba hai udhar aur idhar kabe se ek mast ghata aati hai din nikalta hai to aati hai mujhe raat ki yaad raat aati hai to ek taza bala aati hai is taraf pa-e-shikasta mein nahin tab-e-safar us taraf kan mein aawaz-e-dara aati hai dil mein jo aag bhadakti hai bujhati hai wo aankh khub donon ko laga aur bujha aati hai aap gumrah hai 'shaukat' meri wahshat lekin rasta bhulne walon ko bata aati hai