hum se kya khak ke zarron hi se puchha hota zindagi ek tamasha hai to dekha hota dekhte gar hamin aalam ko ba-andaz-e-digar aur hi dasht-e-junun mein dil-e-ruswa hota kya kiya ahl-e-mohabbat ne magar tere liye hum ne ek sahn-e-chaman aur bhi dhunda hota tum bhi hote mai-o-naghma bhi dil-e-shaida bhi aur aise mein agar abr barasta hota hans ke ek jam pilata koi diwane ko pyar to hota magar kahe ko sauda hota tazkire hote rahe chaak garebanon ke han teri bazm-e-tarab mein koi aisa hota tishna-lab kaun hai go jam na aaya hum tak daur ek aur chala khun-e-jigar kya hota khak ne kitne bad-atwar kiye hain paida ye na hote to usi khak se kya kya hota is se milna hi ghazab ho gaya warna 'anjum' dar-ba-dar phirne ka jhagda bhi na uttha hota