fareb shab ka giraftar rahun bachao mujhe jala ke shama koi rasta dikhao mujhe zaban-e-haal se kahti hai yaad mazi ki tumhaari rah ki diwar hun girao mujhe kahan hun dasht-e-talab mein mujhe pata to chale mera bhi nam pukaro koi bulao mujhe main nam zamin ka pauda hun sukh jaunga sulagti dhup ke sahra mein mat lagao mujhe koi mata-e-hunar dast-e-be-hunar ke liye kahaniyan na karamat ki sunao mujhe bitha ke niche ghatate ho kyun mujhe har bar bhale ko apne kabhi dahine bithao mujhe mere suluk ki surat badal nahin sakti hazar zulm-o-sitam kar ke aazmao mujhe ye be-rukhi ye taghaful kahan talak pyare tumhaare kaam hi aaunga mat ganwao mujhe nigal na jae kahin mujh ko dasht-e-khamoshi akela chhod ke jao na ai sadao mujhe mujhe bhi shauq hai padhne ka ye kitab-e-ghazal kahin se muft mein hath aae to batao mujhe