gesu rukh-e-raushan se wo talne nahin dete din hote hue dhup nikalne nahin dete aanchal mein chhupa lete hain sham-e-rukh-e-raushan parwane to jal jaen wo jalne nahin dete bikhra di wahin zulf zara rukh se jo sarki kya raat dhale raat wo dhalne nahin dete kis darja hain be-dard tere hijr ke sadme dil ko teri yaadon se bahalne nahin dete dekha hai jise bhi wo giraate hain nazar se chahe bhi sambhalna to sambhalne nahin dete gulshan pe udasi ki faza dekh raha hun wo dard ke mausam ko badalne nahin dete be-rah na kyunkar hon bhala rah-raw-e-manzil jab rah-numa rah pe chalne nahin dete wo samne hote hain to hota hai ye aalam arman machalte hain machalne nahin dete