talkhi-e-jam dolne jaisi tishnagi hont kholne jaisi is qadar shor ruh mein barpa khamoshi meri bolne jaisi saat-e-shauq bo gaya hai koi khun mein zahr gholne jaisi lo ye ummid phir jagati hai ek aahat tatolne jaisi khwab aur khwahishon ki qismat hai khali raston pe rolne jaisi