hui ya mujh se nafrat ya kuchh is mein kibr-o-naz aaya kabhi wo muskura deta tha ab is se bhi baz aaya naya fitna jo nikla koi to talim dilwane zamana le ke us ko pesh-e-chashm-e-fitna-saz aaya badalti rahti hai har dam meri shakl is qadar gham se gaya jab main to samjha wo naya ek ishq-baz aaya hui dil ki khabar dil ko ki wo bad-zan hua warna na tapke ashk aankhon se na munh tak harf-e-raaz aaya bachaya dard se majbur kar ke tark-e-ulfat par wo aaya dil-shikan ban kar to goya dil-nawaz aaya tere hathon shikast-e-dil mein lutf-e-dil-nawazi hai ye kya kam hai ki pahlu tak tera dast-e-daraaz aaya magar taza sitam ko wo meri sehat ka khwahan hai ki kal zakhmi kiya aur aaj ban kar chaarasaz aaya ghubar-e-rah ne aankhen milane din na dil bhar ke wo mere ghar jo aaya le ke chashm-e-nim-baz aaya hua hai 'shauq' mai-khane mein dakhil kis takalluf se bichhane ke liye masjid se le kar ja-namaz aaya