fariyaad-e-junun aur hai bulbul ki fughan aur sahra ki zaban aur hai gulshan ki zaban aur kat jae zaban teri to ho garm zaban aur hai allah ne di hai tujhe ai shama zaban aur jannat bhi hai dozakh bhi hai sine mein hamare ye dagh-e-nihan aur hai ye soz-e-nihan aur ho jae sach iflas mein sunta hun rahega do-chaar mahine abhi mah-e-ramazan aur aaghaz-e-mohabbat mein ye dil khun hua hai roenge abhi dida-e-khun-naba-fishan aur duniya mein ab aisa qadar-andaz nahin hai hote hi hadaf dil ke chadhi un ki kaman aur jo pite hain pite nahin wo bhi ramzan mein sunta hun koi band hui mai ki dukan aur achchha hai rahen ja ke lag donon-jahan se ushshaq ke rahne ko bane ek jahan aur pine ka maza jab hai ki munh khum se laga hai mujh rind se saqi ye kahe jae ki han aur nikla hai mera nam ki benam-o-nishan hun mujh sa bhi na hoga koi benam-o-nishan aur sunta hun musalmanon mein ab mang bahut hai darta hun mai-e-nab na ho jae garan aur pahunche dar-o-diwar ko nuqsan to kya gham rone ke liye lenge kirae ka makan aur tez aatish-e-sayyal hai pahle se ziyaada ab aag lagae na zara pir-e-mughan aur di hum ne jagah dil ko bhi aankhon ke barabar aankhon mein samate nahin wo ho ke jawan aur marne ka 'riyaz' apne zara nam na lena jina abhi mar-mar ke tujhe hai meri jaan aur