taskin-e-dil-e-mahzun na hui wo sai-e-karam farma bhi gae

taskin-e-dil-e-mahzun na hui wo sai-e-karam farma bhi gae
is sai-e-karam ko kya kahiye bahla bhi gae tadpa bhi gae

hum arz-e-wafa bhi kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake
yan hum ne zaban hi kholi thi wan aankh jhuki sharma bhi gae

aashuftagi-e-wahshat ki qasam hairat ki qasam hasrat ki qasam
ab aap kahen kuchh ya na kahen hum raaz-e-tabassum pa bhi gae

rudad-e-gham-e-ulfat un se hum kya kahte kyunkar kahte
ek harf na nikla honton se aur aankh mein aansu aa bhi gae

arbab-e-junun par furqat mein ab kya kahiye kya kya guzri
aae the sawad-e-ulfat mein kuchh kho bhi gae kuchh pa bhi gae

ye rang-e-bahaar-e-alam hai kyun fikr hai tujh ko ai saqi
mahfil to teri suni na hui kuchh uth bhi gae kuchh aa bhi gae

is mahfil-e-kaif-o-masti mein is anjuman-e-irfani mein
sab jam-ba-kaf baithe hi rahe hum pi bhi gae chhalka bhi gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close