fitna phir aaj uthane ko hai sar lagta hai khun hi khun mujhe rang-e-sahar lagta hai ilm ki dew-qadi dekh ke dar lagta hai aasmanon se ab insan ka sar lagta hai mujh ko lagta hai nasheman ki mere khair nahin jab kisi shakh pe gulshan mein tabar lagta hai man lo kaise ki main aib sarapa hun faqat mere ahbab ka ye husn-e-nazar lagta hai kal jise phunka tha ya kah ke ki dushman ka hai ghar sochta hun to wo aaj apna hi ghar lagta hai fan hai wo rog jo lagta nahin sab ko lekin jis ko lagta hai use zindagi-bhar lagta hai ehtiyatan koi dar phod len diwar mein aur shor badhta hua kuchh jaanib-e-dar lagta hai ek darwaza hai har-samt nikalne ke liye ho na ho ye to mujhe shaikh ka ghar lagta hai chaman-e-sher mein hun ek shajar-e-zinda magar abhi 'mulla' meri dali ye samar lagta hai