hadis-e-ishq ko unwan la-jawab mila

hadis-e-ishq ko unwan la-jawab mila
mujhe nigah mili hai use shabab mila

hamein nasib se quran la-jawab mila
waraq jahan se khula zindagi ka bab mila

khuda ke fazl se juya-e-ilm-o-danihs ko
nabi sa shahr mila aur ali sa bab mila

gunahgar hamin the tamam khilqat mein
hamein ko ashraf-e-makhluq ka khitab mila

bas ek khwab ki tabir dhundhte guzri
tamam-umr ka hasil bas ek khwab mila

jhuki jhuki si nigahon mein iztirab nihan
na jaane kitne hijabon mein be-hijab mila

jamal-e-yar ki ranaiyon mein aakhir-e-shab
kahin ye kahkashan thi kahin shahab mila

zamin-e-sher hui aaftab-e-burj-e-sharaf
'anis' fan mein tere lutf-e-bu-turab mila

sukhan samajhte hain 'jafar'-raza kai ahbab
jo rah-e-shauq mein naghmat ka sarab mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close