hum ek aankh un ko na bhae gae hain magar phir wo kyon muskurae gae hain na daman na saman na taqdir apni faqiri mein kyon hum satae gae hain koi hum sa ruswa na hoga jahan mein jahan se bhi nikle nikale gae hain badhe hi chale ja rahe hain andhere na-jaane kahan par ujale gae hain kahan raaz-e-hasti kahan tere jalwe ye parde bhi kaise girae gae hain qasam kha ke sar ki wo kahte hain 'barham' ye gesu tumhaare sanware gae hain