hamdam nahin shafiq nahin chaaragar nahin ab ji ke kya karenge koi ham-safar nahin likhna hai nama un ko magar kis tarah likhen baqi ab ek qatra-e-khun-e-jigar nahin har shakhs mast-o-be-khud-o-sarshaar hai wahan us bazm mein kisi ko kisi ki khabar nahin kya jaane us nigah ne kya sehr kar diya ab apne ikhtiyar mein apni nazar nahin un ke har ek ishaare pe jhukta hai apna sar un ka ye haal hai ki har ek baat par nahin in zulmaton se barsar-e-paikar kab talak shayad mere nasib mein nur-e-sahar nahin rah rah ke dil mein hoti hai ai 'dard' ek khalish ye aur kya hai dard-e-mohabbat agar nahin