koi shai dil ko bahlati nahin hai pareshani ki rut jati nahin hai hamare khwab chori ho gae hain hamein raaton ko nind aati nahin hai koi titli kaman-daron ke dar se faza mein pankh phailati nahin hai har ek surat hamein bhati nahin hai koi surat hamein bhati nahin hai jis aazadi ke naghme hain zaban par wo aazadi nazar aati nahin hai badan be-harkat-o-be-his pade hain lahu ki bund garmati nahin hai musalsal posh ki chabuk-zani se meri aashuftagi jati nahin hai zawal-e-fikr-o-fan ki 'bakhsh' tohmat jalal-e-harf par aati nahin hai