fasil-e-jaan ke qaidi hain magar ye dhyan rakkha hai hawa ke waste hum ne dar-e-imkan rakkha hai saja sakte the yaadon ke kai chehre kai paikar magar kuchh soch kar hum ne ye ghar viran rakkha hai hamein shauq-e-aziyyat hai wagarna is zamane mein teri yaaden bhulane ko bahut saman rakkha hai teri jholi mein la dalenge qarze is mohabbat ke ki hum shorida-sar hain kab koi ehsan rakkha hai shab-e-hijran mein dar aati hain kaise ye mulaqaten tamasha-ha-e-khalwat ne hamein hairan rakkha hai tumhein ye manna hoga ki hum ne apne lab si kar sukut-e-shab ki mutthi mein koi tufan rakkha hai jo ho yaro ba-har-surat charaghon ko jalana hai hawaen kitni barham hain ye hum ne jaan rakkha hai