khushbu hai aur dhima sa dukh phaila hai kaun gaya hai ab tak lawn akela hai kyun aahat par chaukun main kis ko dekhun be-dastak hi aaya jab wo aaya hai khuli kitaben samne rakkhe baithi hun dhundle dhundle lafzon mein ek chehra hai raat dariche tak aa kar ruk jati hai band aankhon mein us ka chehra rahta hai aawazon se khali kirnen phaili hain khamoshi mein chand bhi tanha jalta hai jaane kaun se raste pe kho jae wo shahr mein bhi aasebon ka dar rahta hai