ghalat nahin hai dil-e-sulh-khu jo bolta hai magar ye harf-e-baghawat lahu jo bolta hai mere ujadne ki takmil kab hui jaanan darakht-e-yaad ki tahni pe tu jo bolta hai sar-sukut-e-adam kis ke hont hilte hain koi to hai pas-e-diwar-e-hu jo bolta hai zamane teri haqiqat samajh mein aati hai hawa ki thap se khali subu jo bolta hai nafasaton ka qarina hai teri khamoshi magar ye jeb ka tar-e-rafu jo bolta hai idhar ye kan hain qahr-e-khizan jo sunte hain udhar wo ped hai sehr-e-numu jo bolta hai nafas ke jal mein kab qaid ho saka 'arshad' wo ek parind-e-fana ku-ba-ku jo bolta hai