fasil-e-shahr se kyun sab ke sab nikal aae hamein khabar na hui jaane kab nikal aae qadam qadam pe yahan qahqahe bichhe hue hain ye kaise shahr mein hum be-sabab nikal aae wo raushni mein nahaya hua tasawwur tha andhera badhta gaya dast-e-shab nikal aae ab is se pahle ki ruswai apne ghar aati tumhaare shahr se hum ba-adab nikal aae phir ek lamhe ko thahra nahin gaya hum se hamare dil ne kaha ab, to ab nikal aae