raunaq-e-arz-o-sama shams o qamar main hi hun ghaur se dekhiye ta-hadd-e-nazar main hi hun ho liye sare tamashai kisi manzil ke rah gaya main so sar-e-rahguzar main hi hun mujh se mat puchh ki kis tarah se ujdi basti mujh ko bas dekh le rudad-o-khabar main hi hun main bhi muhtaj-e-masihai tera hun lekin mat idhar aa ki meri jaan idhar main hi hun mere malbus hain kim-khwab ke paiwand lage khwab mein sham ka tabir-e-sahar main hi hun kashtiyan likhti rahen roz kahani apni mauj kahti hi rahi zer-o-zabar main hi hun wusat-e-kargah-e-shisha-gari maaz-allah khak main jam bhi main dast-e-hunar main hi hun