hai zer-e-zamin saya to baala-e-zamin dhup

hai zer-e-zamin saya to baala-e-zamin dhup
duniya bhi do-rangi hai kahin chhanw kahin dhup

hai nur-e-rukh-e-yar zamane mein firozan
kahte hain ghalat sab ye nahin dhup nahin dhup

is tarah ki zid hai use har baat mein mujh se
kahta hun main saya to wo kahta hai nahin dhup

allah-re tere garmi-e-ariz ki shararat
khurshid chhupa sharm se nikli na kahin dhup

ham-palla hue yar ki afshan se na 'raunaq'
chamki to bahut kuchh sifat-e-mahr-e-mubin dhup


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close