ibtida mujh mein intiha mujh mein ek mukammal hai waqia mujh mein bhul baitha main paikar-e-khaki jab se rahta hai ek khuda mujh mein main ne mitti se khud ko bandh liya jab bhari waqt ne hawa mujh mein mere chaaron taraf hai sannata aisi gunji hai ek sada mujh mein main ne ashkon pe band kya bandha ek sailab aa gaya mujh mein meri tanhaiyon mein aane laga dhund kar rasta naya mujh mein main ne us ki kabhi nahin mani jo sada bolta raha mujh mein thahr jata hai har parinda yahan ek jangal hai yun basa mujh mein tu bhi sulgega is mein sari hayat soch kar aag ye laga mujh mein us ka ham-zad sath rakkha 'said' jab koi shakhs bhi mara mujh mein