kya maza ho jo kisi se tujhe ulfat ho jae ji kudhe fikr rahe meri si haalat ho jae tera bimar dam-e-naza ye mange tha dua dekh lun phir use gar thodi si mohlat ho jae jaiyo mat tu saba bagh se zindan ki taraf mujh ko dar hai na asiron pe qayamat ho jae ai dil ek din tu guzar kar taraf-e-ahl-e-qubur ta-ki dekhe se unhon ke tujhe ibrat ho jae dekh taswir ko majnun ki 'hawas' rashk na kar chahiye ishq mein teri bhi ye surat ho jae