fasl aisi hai ulfat ke daman tale hum jalen tum jalo sari duniya jale tap ke kundan ki manind nikhra junun jis qadar gham badha badh gae hausle dil mein phaili hai yun raushni yaad ki jaise viran mandir mein dipak jale jashn se meri barbaadiyon ka chalo dosto aao shishe mein shoala dhale har-nafas jaise jine ki tazir hai kitne dushwar hain umr ke marhale hum ulajhte rahe falsafi ki tarah aur badhte gae waqt ke masale mod sakte hain duniya ka rukh aaj hi aap se kuchh hasin hum se kuchh manchale waqt mujh se mera hafiza chhin le aag mein koi yaadon ki kab tak chale khanda-e-gul se 'sahir' na bahlenge hum taza-dam mein junun ke abhi walwale