fasl-e-bahaar aai hai paimana chahiye bulbul ke sath nara-e-mastana chahiye ushshaq-e-shama-e-husn ko kya kya na chahiye parwaz-e-rang ko par-e-parwana chahiye piri mein raat din hamein paimana chahiye rasha ke badle laghzish-e-mastana chahiye wahshat mein baat aql ki sunna na chahiye kanon mein pamba-e-kaf-e-diwana chahiye kanghi banaun chob-e-asa-e-kalim ki taskhir mar-e-gesu-e-jaanana chahiye dariya-e-wahdat-o-chaman-e-dahr se hamein durr-e-yagana sabza-e-begana chahiye aab-o-ghiza-e-ashiq-e-dandan muhaal hai roz aab-o-dana-e-dur-e-yakdana chahiye main sail-e-kamal-e-junun hun mere liye kajkol kasa-e-sar-e-diwana chahiye asrar-e-haq hain dil mein magar dil hai be-khabar is ganj ke liye yahi virana chahiye sair-e-bahisht chahte hain nashshe mein mudam maston ko chashm-e-hur ka paimana chahiye go be-naqab rahte ho parde mein hai hijab dar-parda hum se aap ko chhupna na chahiye aashiq bana ke hum ko jalate hain shama-ru parwana chahiye unhen parwana chahiye ai pir-e-mai-farosh dar-e-tauba ki tarah wa roz-e-hashr tak dar-e-mai-khana chahiye ta-marg aashna na hua ek sabza rang turbat par apni sabza-e-begana chahiye dushman hai wo to tum bhi na ho dost ai 'munir' apna bura na chahiye achchha na chahiye