hasin raaton jamil taron ki yaad si rah gai hai baqi kuchh apni ujdi hui bahaaron ki yaad si rah gai hai baqi har ek mahfil padi hai suni tamam mele bichhad chuke hain sitamgaron ki sitam-shiaron ki yaad si rah gai hai baqi gham-e-wafa kahne sunne wale kahan gae ahl-e-dil na jaane tumhaari ulfat ke raaz-daron ki yaad si rah gai hai baqi wo sham se aarzu sahar ki wo be-kali raat raat bhar ki un aashna aashna sitaron ki yaad si rah gai hai baqi udhar bhi ahd-e-wafa ke tukde khatak ke pahlu mein so chuke hain yahan bhi tute hue sahaaron ki yaad si rah gai hai baqi gila nahin 'saif' be-kasi ka kisi ka gham kaun puchhta hai yahi bahut hai ki gham-gusaron ki yaad si rah gai hai baqi