hudud-e-qarya-e-wahm-o-guman mein koi nahin mere alawa mere karwan mein koi nahin charagh jalte hain kyun raat-bhar mere dil mein bahut dinon se agar is makan mein koi nahin hai meri fath-o-hazimat ka kyun asar us par sharik agar mere sud-o-ziyan mein koi nahin thahar sake jo mere samne ghadi-do-ghadi wo shahsawar saf-e-dushmanan mein koi nahin bhatak raha hun hujum-e-nujum mein tanha ki mujh sa aur kisi kahkashan mein koi nahin ajib ek masarrat se aashna hain wo asir-e-gham tere aashuftagan mein koi nahin mili ho jis ko wirasat mein umr-bhar 'sajid' wo khush-nasib kisi khak-dan mein koi nahin