fasl-e-gul dekh ke afzun hui wahshat apni le chale dekhiye kis ja mujhe qismat apni go mujhe zoaf ne majbur kiya tha lekin manzil-e-ishq mein kaam aa gai himmat apni tu hi insaf se kah de ki ye parda kya hai kyun chhupata hai dikha kar mujhe surat apni puchhte kya ho fida jaan kiya kyun main ne ishq apna hai dil apna hai tabiat apni mahw-e-nazzara hain hum to kisi jaanib chhup kar aur wo aaine mein dekha kare surat apni rahat-o-ranj ka ghairon pe asar kya hoga ranj apna hai alam apna masarrat apni jaan jae to chali jae magar ai qatil tere kuche hi mein ho jae shahadat apni sar mein sauda-e-hawas aur takabbur na rahe chashm-e-baatin se agar dekhe haqiqat apni tar-e-malbus-e-khudi kyun rahen baqi mere panja-e-dast-e-junun apna hai wahshat apni mar hi jaun main agar hijr mein nale na karun aah-o-zari se nikal jati hai kulfat apni dil use de ke 'jamila' main abas kyun rota us ne rakhne ko mujhe di thi amanat apni