umr-bhar justuju rahegi kya aarzu aarzu rahegi kya nahin hona mukalima tujh se khud se hi guftugu rahegi kya raat ai raat sirf raat ki raat mere pahlu mein tu rahegi kya shor-e-khamoshi kam nahin hona raat-bhar haw-hu rahegi kya tu jo mere gale bhi lag jae ruh se ruh chhu rahegi kya khud ko kamre se gar nikal dun main koi shai faltu rahegi kya yun bhi tazlil kar ke auron ki khud teri aabru rahegi kya to dobara sahar nahin honi tirgi chaar-su rahegi kya aisi retili zamin mein 'sahir' mujh ko tab-e-numu rahegi kya