main to saya hun ghataon se utarne wala hai koi pyas ke sahra se guzarne wala tu samajhta hai mujhe harf-e-mukarrar lekin main sahifa hun tere dil pe utarne wala tu mujhe apni hi aawaz ka paband na kar main to naghma hun fazaon mein bikharne wala ai badalte hue mausam ke gurezan paikar aks de ja koi aankhon mein thaharne wala main hun diwar pe likkha hua kab se lekin koi padhta nahin raste se guzarne wala ja raha hai tere honton ki tamanna le kar zindagi-bhar teri aawaz pe marne wala