fasl-e-gul ka gham dil-e-nashad par baqi raha hashr lag ye muzlima sayyaad par baqi raha khol kar zulfon kun aaya sarw-qad jab bagh mein naqsh-e-hairat turra-e-shamshad par baqi raha jal gaya parwana pan mujh sa samundar-khu nahin ye sukhan shagird ka ustad par baqi raha aashiqi mein kab rawa hai is tarah ki zalimi khun-e-shirin gardan-e-farhad par baqi raha rah gae zauq-e-tabassum mein taghaful ke shahid bismilon ka khun-baha jallad par baqi raha ulfat-e-laila ne majnun ka mitaya sab nishan nam us ka safha-e-ijad par baqi raha khol chashm-e-lutf de jagir maqsud-e-'siraj' shama-ru parwana-dil sayyaad par baqi raha