ye rishta-e-jaan meri tabahi ka sabab hai is qaid se chhutne ki tamanna bhi ajab hai is arsa-e-mahshar mein khamoshi bhi sada hai tuti hui qabron mein bada shor-o-shab hai suraj ko ye zid us ki ek bund na rah jae honton ko faqat pyas bujhane ki talab hai chehre pe thakan sans ki zanjir pareshan aankhon mein magar ab bhi wahi ghaiz-o-ghazab hai kyun dil ko ye hasrat hai kisi aur ko pale is shahar mein mujh sa koi pahle tha na ab hai