fasl-e-gul mein bhi tahi kyon na ho daman apna baghban apna faza apni na gulshan apna jurm-e-na-shukr-guzari ki saza kuchh to mile apne hathon se lutaya tha nasheman apna barq-bari hi sahi jashn-e-charaghan na sahi ek lamhe ke liye ghar to ho raushan apna ab to aawaz-e-tanaffus pe ye hota hai guman jaise main marsiyan-khwan hun sarmad-e-fan apna karun kis dil se bahaaron ki tamanna 'athar' main to phulon se jala baitha hun daman apna