jangal ka sannata mera dushman hai phailta sahra dida-o-dil ka dushman hai jism ki ot mein ghat lagae baitha hai mausam-e-gul bhi ek anokha dushman hai naqsh-e-wafa mein rang wahi hai dekho to jis ki duniya jo duniya ka dushman hai sahil-e-marg pe rafta rafta le aaya tanhai ka rog bhi achchha dushman hai chand mein shayad pyar milega insan ko is basti ka saya saya dushman hai patthar to khamosh pade hain rahon mein aaina kyun aaine ka dushman hai jis ko dushman samjha wo to chhod gaya jis ko apna jaana gahra dushman hai