fasl-e-gul mein jo koi shakh-e-sanobar tode baghban ghaib ka us ka wahin phir sar tode dast-e-sayyaad mein kahti thi ye kal bulbul-e-zar kya rihai ka maza hai jo mere par tode khak bhi khun ki ja nikli na yahan ai pyare be-sabab hae ye faza dun ne nishtar tode wasl ke tishna-labon ko na ho mayusi kyun daur par un ke falak hae jo saghar tode mere dilbar ko mila de jo koi mujh se 'surur' abhi deta hun zar-e-surkh ke sattar tode